Mili Hai Manzile Phir Bhi Musafir Lyrics – Rahat Fateh Ali Khan

Mili Hai Manzile Phir Bhi Musafir Lyrics Sung By Rahat Fateh Ali Khan And Featuring By Gauhar Khan & Kushal Tandon Is The Latest Hindi Song With Music Given By Rahat Fateh Ali Khan. Mili Hai Manzile Phir Bhi Musafir Lyrics Is Written By Rahat Fateh Ali Khan. This Song Released On Ustad Rahat Fateh Ali Khan PME Youtube Channel

Mili Hai Manzile Phir Bhi Musafir Lyrics – Rahat Fateh Ali Khan

Zaroori Tha Song Credits

SongZaroori Tha
SingerRahat Fateh Ali Khan
FeaturingGauhar Khan & Kushal Tandon
MusicRahat Fateh Ali Khan
LyricsRahat Fateh Ali Khan
LableUstad Rahat Fateh Ali Khan PME

Zaroori Tha Lyrics

Lafj Kitne Hi
Tere Pairo Se Lipte Honge

Tune Jab Aakhiri Khat
Mera Jalaya Hoga
Tune Jab Phul
Kitabo Se Nikale Honge

Dene Wala Bhi Tujhe
Yad To Aaya Hoga

Teri Aankho Ke Dariya Ka
Utarna Bhi Zaruri Tha
Mohabbat Bhi Zaruri Thi
Bichadna Bhi Zaruri Tha

Zaruri Tha Ke Hum Dono
Tawaf-E Arzu Karte
Magar Phir Arzun Ka
Bikharna Bhi Zaruri Tha

Teri Aankho Ke Dariya Ka
Utarna Bhi Zaruri Tha

Batao Yad Hai Tumko
Wo Jab Dil Ko Churaya Tha
Churayi Cheez Ko Tumne
Khuda Ka Ghar Banaya Tha

Wo Jab Kehte The Mera Name
Tum Tasbih Me Padhte Ho
Mohabbat Ki Namazo Ko Kaza
Karne Se Darte Ho

Magar Aab Yad Aata Hai
Woh Bate Thi Mehaz Bate

Kahin Bato Hi Bato Me
Mukarna Bhi Zaruri Tha
Teri Aankho Ke Dariya Ka
Utarna Bhi Zaruri Tha

Wahin Hai Surate Apni
Wahin Main Hun Wahin Tum Ho
Magar Khoya Hua Hun Main
Magar Tum Bhi Kahin Gumm Ho

Mohabbat Me Daga Ki Thi
Jo Kafir The So Kaafir Hain
Mili Hain Manzile Phir Bhi
Musafir The Musafir Hai

Tere Dil Ke Nikaale Hum
Kahan Bhatke Kaha Pahunche
Magar Bhatke To Yaad Aaya
Bhatakna Bhi Zaruri Tha

Mohabbat Bhi Zaruri Thi
Bichadna Bhi Zaruri Tha
Zaruri Tha Ke Hum Dono
Tawaef-E Arzoo Karte

Magar Phir Arzun Ka
Bikharna Bhi Zaruri Tha
Teri Aankho Ke Dariya Ka
Utarna Bhi Zaruri Tha

Zaroori Tha (Full Video) Song

Scroll to Top